mahw-e-raqs-e-visal tha kya tha
wo sarapa ghazal tha kya tha
subh-e-raushan kisi ke honTon ka
rang kuchh kuchh jo lal tha kya tha
bazm-e-jaan mein bahut thi KHamoshi
jaane us ka KHayal tha kya tha
ek jalta hua nasheman tha
wo mere hasb-e-haal tha kya kya tha
sheriyat Dhal rahi thi surat mein
ya wo raqs-e-jamal tha kya tha
'nil' chashm-e-hazin mein ye batla
thi wo wahshat malal tha kya tha

Ghazal
Mahw-e-raqs-e-visal tha kya tha
Neel Ahmed