اردو हिंदी
Mahw-e-nazzara-e-hairat hai hawa pahli bar | Shaahi Shayari
mahw-e-nazzara-e-hairat hai hawa pahli bar

Ghazal

Mahw-e-nazzara-e-hairat hai hawa pahli bar

Mahtab Haider Naqvi

;

mahw-e-nazzara-e-hairat hai hawa pahli bar
mujh pe darwaza-e-mahtab khula pahli bar

hijr ki shab se bahut dur sar-e-matla-e-shauq
ab ke tanhai mein wo mujh se mila pahli bar

ab na ehsan karen mujh pe ye kali raaten
is andhere mein jala koi diya pahli bar

ab dhanak-rang bahut saf nazar aate hain
apne aaine mein aai hai jila pahli bar

ek haqiqat ne kiya KHwab sa jadu mujh par
aur main der talak sota raha pahli bar

aur phir dasht-e-junun mujh ko bahut yaad aaya
chaak-e-daman jo abhi main ne siya pahli bar