mahw-e-naghma mera qatil jo raha karta hai
fann-e-mausiqi ko bhi zabh kiya karta hai
ek wo zalim hi nahin mujh pe jafa karta hai
aasman bhi isi chakkar mein raha karta hai
barish-e-kaif-o-tarannum ka saman kya kahiye
naghma jaise lab-e-mutrib se chua karta hai
ab to har baat pe quran uTha lete hain
ab to iman sipar ban ke bika karta hai
uTh gaya mai-kade se shisha-o-saghar ka riwaj
ab to chullu se har ek rind piya karta hai
sath tasbih ke danon ke suna hai hum ne
shaiKH biryani ki boTi bhi gina karta hai
main jahan mein kisi aain ka paband nahin
mere ghar aap hi qanun Dhala karta hai
kyun na waiz ke taqaddus ka asar ho dil par
roz mai-KHane mein tasbih paDha karta hai
jis ko samjhe hue the sidq-o-safa ka hami
jhuT ki rassi wahi roz baTa karta hai
azm-bil-jabr ke hathon jo hua ho raushan
wo diya bhi kahin jhonkon se bujha karta hai
allah allah ye mearaj-e-mohabbat ai 'shauq'
husn ab ishq ka pani hi bhara karta hai

Ghazal
Mahw-e-naghma mera qatil jo raha karta hai
Shauq Bahraichi