mahw-e-fariyaad ho gaya hai dil
aah barbaad ho gaya hai dil
sina-kawi mein apne naKHun se
rashk-e-farhad ho gaya hai dil
dekhte dekhte sitam tera
saKHt nashad ho gaya hai dil
karte hi karte tere qad ka KHayal
misl-e-shamshad ho gaya hai dil
ho ke paband tere kakul se
sar se aazad ho gaya hai dil
ulfat-e-ahl-e-bait se 'agah'
Hyderabad ho gaya hai dil
Ghazal
Mahw-e-fariyaad ho gaya hai dil
Baqar Agah Vellori