اردو हिंदी
Mahsus ho raha hai ki duniya simaT gai | Shaahi Shayari
mahsus ho raha hai ki duniya simaT gai

Ghazal

Mahsus ho raha hai ki duniya simaT gai

Noor Jahan Sarwat

;

mahsus ho raha hai ki duniya simaT gai
meri pasand kitne hi KHanon mein baT gai

tanhaiyon ki barf pighalti nahin hanuz
wadon ke e'tibar ki bhi dhup chhaT gai

hum ne wafa nibhai baDi tamkanat ke sath
apne hi dam pe zinda rahe umr kaT gai

daur-e-KHirad wo daur-e-KHirad hai ki kya kahen
qimat baDhi hai fan ki magar qadr ghaT gai

'sarwat' har ek rut mein lapeTe rahi jise
wo na-murad aas ki chadar bhi phaT gai