mahsus ho raha hai jo gham meri zat ka
sach puchhiye to dard hai wo kaenat ka
ghar ki ghuTan se dur nikal jae aadmi
saDkon pe KHauf ho na agar hadsat ka
apne badan ko aur thakao na dosto
Dhal jae din to bojh uThana hai raat ka
ek dusre ko zahr pilate hain log ab
baaton mein shahd ghol ke qand-o-nabaat ka
har shaKHs tere shahr mein mujrim bana hua
phirta hai DhunDhta hua rishta najat ka
is mein kisi ka aks na chehra dikhai de
dhundla gaya hai aaina 'KHawar' hayat ka
Ghazal
Mahsus ho raha hai jo gham meri zat ka
Badiuzzama Khawar