mahshar mein chalte chalte karunga ada namaz
paDh lunga pul-siraat pe 'mail' qaza namaz
sar jae umr bhar ki ho yarab ada namaz
aae meri qaza to paDhun main qaza namaz
mangi najat hijr se to maut aa gai
roze gale paDe jo chhuDane gaya namaz
dekho ki phans na jaen farishte bhi jal mein
kyun paDh rahe ho khol ke zulf-e-rasa namaz
har ek sutun KHana-e-shar-e-sharif hai
roza ho ya zakat ho ya haj ho ya namaz
ye kyun KHamida hai sifat-e-sahab-e-ruku
kya paDh rahi hai dosh pe zulf-e-dota namaz
niyyat jo bandh li to chala main huzur mein
rahbar meri namaz meri rahnuma namaz
saqi qayam se ye jo aaya rukua mein
shisha KHuda ke KHauf se paDhta hai kya namaz
uTh uTh ke baiTh baiTh ke karta hai kyun ghurur
zahid kahin baDhae na teri riya namaz
arkan yaad hain mujhe ai dawar-e-jaza
gar hukm ho to samne paDh lun qaza namaz
shaitan ban gaya hai farishta ghurur se
kya faeda hua jo paDhi ja-ba-ja namaz
le jate hain mujhe su-e-dozaKH kashan kashan
roze mere idhar hain udhar hai qaza namaz
haqq-ul-yaqin ka nam uruj-e-maqam hai
paDhte hain auliya sar-e-dosh-e-hawa namaz
masjid mein panch waqt dua wo bhi wasl ki
'mail' buton ke waste paDhte ho kya namaz
Ghazal
Mahshar mein chalte chalte karunga ada namaz
Ahmad Husain Mail