mahrumiyon ka mujh ko jo aadi bana diya
main puchhta hun tujh se diya bhi to kya diya
han ai hujum-e-ashk ye achchha nahin hua
tu ne hamare zabt ka rutba ghaTa diya
kaise aman milegi hamein tez dhup se
suraj ne har daraKHt ka saya jala diya
ek ajnabi ki baat mein jadu ka tha asar
patthar dilon mein dard-e-mohabbat jaga diya
jab apne sath sath tha KHush-haal tha bahut
KHud se bichhaD ke KHud ko gadagar bana diya
kal raat tere wade ka bhi khul gaya bharam
zaKHmon ko hanste dekh ke main muskura diya
rangini-e-bahaar ke hum muntazir hain kyun
baad-e-KHizan ne rang-e-gulistan uDa diya
dil ka charagh KHud hi jalaya kabhi 'sadaf'
aur KHud hi us charagh ko aaKHir bujha diya
Ghazal
Mahrumiyon ka mujhko jo aadi bana diya
Mushtaq Sadaf