mahrumi ke dukh aur tanhai ke ranj uThae
lekin hum ko aaj bhi jhuTa pyar na karna aae
sail-e-gham-e-duniya ne dil se kya kya naqsh miTae
hijr ki raaton mein ab teri shakl bhi yaad na aae
tanhai ka sannaTa aur aati jati raaten
teri yaad na aur koi gham phir bhi nind na aae
tere masumana pyar ki daulat pa kar hum ne
akasr naz kiya hai lekin kabhi kabhi pachhtae
pyasi kaliyan pani ke qatre qatre ko tarsen
aur karam ka baadal dariyaon pe barasta jae
Ghazal
Mahrumi ke dukh aur tanhai ke ranj uThae
Azeem Murtaza