mahram nahin hai tu hi nawa-ha-e-raaz ka
yan warna jo hijab hai parda hai saz ka
rang-e-shikasta subh-e-bahaar-e-nazara hai
ye waqt hai shaguftan-e-gul-ha-e-naz ka
tu aur su-e-ghair nazar-ha-e-tez tez
main aur dukh teri mizha-ha-e-daraaz ka
sarfa hai zabt-e-ah mein mera wagarna mein
toama hun ek hi nafas-e-jaan-gudaz ka
hain bas-ki josh-e-baada se shishe uchhal rahe
har gosha-e-bisat hai sar shisha-baz ka
kawish ka dil kare hai taqaza ki hai hunuz
naKHun pe qarz is girah-e-nim-baz ka
taraj-e-kawish-e-gham-e-hijran hua 'asad'
sina ki tha dafina gohar-ha-e-raaz ka
Ghazal
Mahram nahin hai tu hi nawa-ha-e-raaz ka
Mirza Ghalib