mahram ke sitare TuTte hain
pistan ke anar chhuTte hain
dil par hai wo sadma-e-judai
ghaDiyal bhi sina kuTte hain
koi to mata-e-dil ko puchhe
aabaad rahen ja luTte hain
aankhon ko bahaega ye rona
dariya mein charagh chhuTte hain
tai kis se ho wadi-e-mohabbat
chalte hue panw TuTte hain
kis ke galon se hamsari kiye
sone ke waraq ko kuTte hain
ye dil use muft bhi hai mahnga
hum KHush hain ki saste chhuTte hain
rindon ne diya jo sana apna
saqi ki dukan luTte hain
kiya shikoh-e-sang ko dukan-e-'bahr'
hum par to pahaD TuTte hain
Ghazal
Mahram ke sitare TuTte hain
Imdad Ali Bahr