اردو हिंदी
Mahka hai gul-e-KHun-e-wafa jaaniye kya ho | Shaahi Shayari
mahka hai gul-e-KHun-e-wafa jaaniye kya ho

Ghazal

Mahka hai gul-e-KHun-e-wafa jaaniye kya ho

Shahid Akhtar

;

mahka hai gul-e-KHun-e-wafa jaaniye kya ho
jalti hai koi sham-e-hina jaaniye kya ho

bandish hai nigahon pe dil-o-jaan pe hain pahre
tabir teri KHwab-e-wafa jaaniye kya ho

muddat se kisi zulf ki KHushbu nahin aati
masrufiyat-e-dast-e-saba jaaniye kya ho

shoala sa lapakta hai koi rauzan-e-dar se
KHandan hai phir ek bint-e-haya jaaniye kya ho

Thahri hai saba gardish-e-aflak ruki hai
kasta hai koi band-e-qaba jaaniye kya ho

baqi hai abhi talKHi-e-zahrab labon par
hai phir lab-e-saqi pe sala jaaniye kya ho