اردو हिंदी
Mahfilon mein ja ke ghabraya kiye | Shaahi Shayari
mahfilon mein ja ke ghabraya kiye

Ghazal

Mahfilon mein ja ke ghabraya kiye

Baqar Mehdi

;

mahfilon mein ja ke ghabraya kiye
dil ko apne lakh samjhaya kiye

yas ki gahraiyon mein Dub kar
zaKHm-e-dil se KHud ko bahlaya kiye

tishnagi mein yas o hasrat ke charagh
gham-kade mein apne jal jaya kiye

KHud-farebi ka ye aalam tha ki hum
aaina duniya ko dikhlaya kiye

KHun-e-dil unwan-e-hasti ban gaya
hum to apne saz par gaya kiye