mahfil se uThane ke saza-war hamin the
sab phul tere bagh the ek KHar hamin the
hum kis ko dikhate shab-e-furqat ki udasi
sab KHwab mein the raat ko bedar hamin the
sauda teri zulfon ka gaya sath hamare
mar kar bhi na chhuTe wo giraftar hamin the
kal raat ko dekha tha jise KHwab mein tum ne
ruKHsar pe rakkhe hue ruKHsar hamin the
dil-soKHta the chahne walon mein tumhaare
lekin sabab-e-garmi-e-bazar hamin the
kal kucha-e-qatil mein jo tha KHalq ka majma
khae hue us hath ki talwar hamin the
ai ishq-e-mizha kaun hamein dekhne aata
aankhon mein khaTakte the wo bimar hamin the
turbat mein bhi aankhen na huin band hamari
aise tere ek talib-e-didar hamin the
ThanDe kiye ghairon ke dil aur hum ko jalaya
ek the to mohabbat ke gunahgar hamin the
milte hi lab-e-yar se lab dil nikal aaya
mara jise isa ne wo bimar hamin the
tum ghairon se Dar Dar ke lipaT jate the paiham
kal raat ko nalan pas-e-diwar hamin the
sab raaz tashshuq se bayan hote the dil ke
pahle tere ek mahram-e-asrar hamin the
Ghazal
Mahfil se uThane ke saza-war hamin the
Taashshuq Lakhnavi