اردو हिंदी
Mahfil mein aaj marsiya-KHwani hi kyun na ho | Shaahi Shayari
mahfil mein aaj marsiya-KHwani hi kyun na ho

Ghazal

Mahfil mein aaj marsiya-KHwani hi kyun na ho

Munawwar Rana

;

mahfil mein aaj marsiya-KHwani hi kyun na ho
aankhon se bahne dijiye pani hi kyun na ho

nashshe ka ehtimam se rishta nahin koi
paigham us ka aae zabani hi kyun na ho

aise ye gham ki raat guzarna muhaal hai
kuchh bhi suna mujhe wo kahani hi kyun na ho

koi bhi sath deta nahin umr-bhar yahan
kuchh din rahegi sath jawani hi kyun na ho

is tishnagi ki qaid se jaise bhi ho nikal
pine ko kuchh bhi chahiye pani hi kyun na ho

duniya bhi jaise tash ke patton ka khel hai
joker ke sath rahti hai rani hi kyun na ho

taswir us ki chahiye har haal mein mujhe
pagal ho sar-phiri ho diwani hi kyun na ho

sona to yar sona hai chahe jahan rahe
biwi hai phir bhi biwi purani hi kyun na ho

ab apne ghar mein rahne na denge kisi ko hum
dil se nikal denge nishani hi kyun na ho