mahfil mahfil sannaTe hain
dard ki gunj pe kan dhare hain
dil tha shor tha hangame the
yaro hum bhi tum jaise hain
mauj-e-hawa mein aag bhari hai
bahte dariya khaul uThe hain
armanon ke narm shagufe
shaKHon ke ham-rah jale hain
ye jo Dher hain ye jo khanDar hain
mazi ki galiyan-kuche hain
jin ko dekhna bas mein nahin tha
aise bhi manzar dekhe hain
kaun dilon par dastak dega
yaadon ne dam sadh liye hain
Ghazal
Mahfil mahfil sannaTe hain
Ahmad Rahi

