mahfil-e-dost mein go sina-figar aae hain
surat-e-naghma ba-andaza-e-bahaar aae hain
is nazar se ki tere zulm ki tashhir na ho
be-qarari mein liye dil ka qarar aae hain
ek pindar-e-KHudi jis ko bacha rakkha tha
aaj hum wo bhi teri bazm mein haar aae hain
zulmat-e-sham-e-KHizan yaad karegi barson
hum jab aae hain gulistan-ba-kanar aae hain
ai rafiqan-e-rah-e-shauq kahan ho bolo
hum tumhein shahr-o-bayaban mein pukar aae hain
hai pur-ashob faza phir bhi kisi jaanib se
dil ke virane mein paigham-e-bahaar aae hain
gham-e-manzil mein bhaTakte hi guzar jati hai
chhoD kar jab se teri rah-e-guzar aae hain
zindagi rose nai lagti hai dil walon ko
garche har rose wahi lail-o-nahaar aae hain
dekhna luTi gai kaun si basti yaro
uD ke dil tak jo kudurat ke ghubar aae hain
apne anjam se KHush apni wafa par nazan
muskuraate hue hum janib-e-dar aae hain
Ghazal
Mahfil-e-dost mein go sina-figar aae hain
Ehtisham Husain