mahdud-nigahi ke sanam TuT rahe hain
tarik ujalon ke bharam TuT rahe hain
is daur ki badli hui raftar ka aalam
shishon ki tarah naqsh-e-qadam TuT rahe hain
tishna hai mera jam to kuchh gham nahin saqi
ye gham hai ki rindon ke bharam TuT rahe hain
is raaz ko arbab-e-siyasat se na puchho
kyun rabta-e-dair-o-haram TuT rahe hain
ye zist hai ya rit ka kamzor gharaunda
ban ban ke yun hi sadiyon se hum TuT rahe hain
haalat ka ye ruKH bhi 'hayat' aap samajh len
kyun zulm ba-andaz-e-karam TuT rahe hain
Ghazal
Mahdud-nigahi ke sanam TuT rahe hain
Hayat Warsi