mahbub sa andaz-e-bayan be-adabi hai
mansur isi jurm mein gardan-zadani hai
KHud apne hi chehre ka tayyun nahin hota
haalanki mera kaam hi aaina-gari hai
aane do abhi jubba o dastar pe patthar
kuchh kaba-nashinon mein abhi bu-lahbi hai
KHali hi raha dida-e-pur-shauq ka daman
andhon ki aqidat mein wasi-un-nazari hai
har panw se uljha hun kaTi Dor ke manind
'tariq' meri qismat ki patang jab se kaTi hai
Ghazal
Mahbub sa andaz-e-bayan be-adabi hai
Shamim Tariq