mahbub-e-KHuda ne tujhe nayab banaya
qad sarw kiya ruKH gul-e-mahtab banaya
jab kuchh na bani ishq ne betab banaya
KHud ban gaya shoala mujhe simab banaya
us husn ke dariya ne jo phir kar mujhe dekha
mauj-e-qadam-e-naz ko girdab banaya
sarmast-e-shahadat hain tere ishq mein saqi
aab-e-dam-e-KHanjar ko mai-e-nab banaya
aagah kiya ishq ne qanun-e-wafa se
jab naKHun-e-shamshir ko mizrab banaya
sab uzw-e-badan sham-e-sifat bah gae gal kar
is sozish-e-dil ne mujhe sailab banaya
ek raat uDai na meri duKHtar-e-raz se
saqi ne bat-e-mai ko bhi surKHab banaya
jism aisa damakta hai ki kapDe chamak uTThe
naino ko tere husn ne kamKHab banaya
kab talib-e-rahat hue zaKHmi-e-mohabbat
marham ki jo hajat hui tezab banaya
aariz ne kiya sar-ba-zamin sare gulon ko
qamat ne har ek shaKH ko mehrab baniya
ai 'bahr' bar-o-bahar mein gardish rahe hum ko
qismat ne bagula tujhe girdab banaya
Ghazal
Mahbub-e-KHuda ne tujhe nayab banaya
Imdad Ali Bahr