mahakti aankhon mein socha tha KHwab utrenge
pata na tha ki yahan bhi azab utrenge
fareb khaegi har bar meri tishna-labi
badan ke dasht pe jab jab sarab utrenge
meri lahad pe na raushan kare charagh koi
ye wo jagah hai jahan aaftab utrenge
safed-poshon ki kab tak chhupengi kartuten
ki dhire dhire sabhi ke naqab utrenge
nazar jamae hain dahliz-e-intizar pe hum
faraaz-e-kaba se izzat-maab utrenge
gunah lagti hai ulfat tumhein to lagne do
ye wo gunah hai jis par sawab utrenge
tamam hogi tabhi to kitab-e-zist 'raza'
gham-e-hayat ke jab intisab utrenge
Ghazal
Mahakti aankhon mein socha tha KHwab utrenge
Raza Mauranvi