mahak raha hai tasawwur mein KHwab ki surat
khila khila sa wo chehra gulab ki surat
sawal us se ajab meri KHamushi ne kiya
hansi labon pe thi us ke jawab ki surat
kitab-e-dil ka meri ek bab ho tum bhi
tumhein bhi paDhta hun main ek nisab ki surat
pukara jab bhi mujhe tum ne dasht-e-imkan se
koi umid si ubhri sarab ki surat
ye us ke qurb ki padash mein 'suKHan' hum ko
nasib hijr hua hai azab ki surat
Ghazal
Mahak raha hai tasawwur mein KHwab ki surat
Abdul Wahab Sukhan