mahak raha hai badan sara kaisi KHushbu hai
ye tere lams ki tasir hai ki jadu hai
tumhaara narm-o-subuk hath chhu gaya tha kabhi
ye kaisi aag hai sozan har ek pahlu hai
hai kis qadar mutawazin nigah-o-dil ka milap
ki jaise donon taraf ek san taraazu hai
rawan-dawan hai judai ka karb ye kaisa
wo mutmain na mujhe apne dil pe qabu hai
zamana kahta hai jis ko hasin taj-mahal
wafa ki aankh se Tapka hua ek aansu hai
bahut hasin hai mahaul-e-zindagi 'sadiq'
nazar ke samne jab se wo aaina-ru hai
Ghazal
Mahak raha hai badan sara kaisi KHushbu hai
Sadique Indori