mahaz-e-zindagi ke har muhaarib se laDo sahab
kabhi aage baDho sahab kabhi pichhe haTo sahab
kabhi KHud bhi to samjho aql-arai ki talqinen
kuchh apne sahibon se tarz-e-istibsar lo sahab
kahan tak hum batate jaen kab kya kaise karna hai
kuchh apne aap bhi achchha bura samjha karo sahab
tawaqquf bhi safar ka rukn hai ab ye bhi samjhaen
kahan hum ne kaha tum se ki bas chalte raho sahab
pae-islah-e-himmat aur basirat donon lazim hain
ki KHud qabil banu itne ya hum par chhoD do sahab
zamane ke tamashon mein ulajhna be-waqufi hai
nazar bhar kar na dekho dekh kar aage baDho sahab
dobara kho diya hai tum ne KHud zauq-e-salim apna
dobara ghaur phir apne hi mazi par karo sahab
hamesha imtisal-e-amr KHaliq ka irada ho
KHayal-e-ittiba-e-amr-e-nafsi dur ho sahab
arab hote to maKHraj aur talaffuz se samajh jate
magar urdu mein aisa hai paDho sahab likho sahab
wo jab bhi din mein 'tamjid' aazadi ki baaten hon
ye lazim hai ki la-ikrah ho irshad ho sahab
Ghazal
Mahaz-e-zindagi ke har muhaarib se laDo sahab
Syed Tamjeed Haider Tamjeed