mah-o-parwin tah-e-kamand rahe
kin fazaon mein hum buland rahe
gham-e-hasti se be-niyaz sahi
ahl-e-dil phir bhi dard-mand rahe
chashm-e-uqda-kusha se bhi na khule
hum kuchh is tarah band band rahe
bar-sar-e-dar hum sahi lekin
harf-e-haq ki tarah buland rahe
husn ki KHud-numaiyan tauba
muddaton hum bhi KHud-pasand rahe
mai-o-masti nahin hai us pe haram
mai-kade mein jo hosh-mand rahe
hum hain rahbar se do qadam aage
hausle shauq se do-chand rahe
dushmanon ka gila nahin 'tabish'
dost bhi darpai-e-gazand rahe
Ghazal
Mah-o-parwin tah-e-kamand rahe
Tabish Dehlvi