اردو हिंदी
Maghz-e-bahaar is baras us bin bacha na tha | Shaahi Shayari
maghz-e-bahaar is baras us bin bacha na tha

Ghazal

Maghz-e-bahaar is baras us bin bacha na tha

Wali Uzlat

;

maghz-e-bahaar is baras us bin bacha na tha
chin-e-jabin bin ek gul ab ki hansa na tha

jab lag mein subh hsun-e-buton se mila na tha
dil hoe gul sa hat se mere gaya na tha

kya ki wafa ki mauj-e-guhar sa hai sar se band
KHanjar juz ek dam ka mera aashna na tha

ja kar fana ke us taraf aasuda main hua
main aalam-e-adam mein bhi dekha maza na tha

is yar-e-karwani ke waqt-e-widaa hae
be-nala ek ashk mera jun dara na tha

hote hi jalwa-gar tere ai aaftab-ru
sine mein jaise shabnam-e-gul dil raha na tha

munh moD but-kada se haram ko chala hai shaiKH
'uzlat' magar hai kabe hi mein yahan KHuda na tha