magar wo diya hi nahin man kar ke
bahut hum ne dekha hai ji jaan kar ke
kabhi dil ko bhi sair kar jao sahab
ye ghuncha bhi haiga gulistan kar ke
nazar is sarape mein sau ja se palTi
zuleKHai yusufistan kar ke
wo jis roz niklen jag ujiyarne ko
ye dil bhi dikha laiyo dhyan kar ke
janab aap hur o malak honge lekin
samajhiyega aashiq ko insan kar ke
teri lala-zari salamat ki hum bhi
khaDe hain koi ghuncha arman kar ke
masih o KHizr sar-ba-kaf phir rahe hain
koi us pe marna hai aasan kar ke
meri kisht-e-jaan par se guzra hai 'jawed'
sahab-e-junun zor-e-baran kar ke
Ghazal
Magar wo diya hi nahin man kar ke
Ahmad Javed