magar us ko fareb-e-nargis-e-mastana aata hai
ulaTti hain safen gardish mein jab paimana aata hai
nihayat dil ko hai marghub bosa KHal-e-mushkin ka
dahan tak apne kab tak dekhiye ye dana aata hai
KHushi se apni ruswai gawara ho nahin sakti
gareban phaDta hai tang jab diwana aata hai
firaq-e-yar mein dil par nahin malum kya guzri
jo ashk aankhon mein aata hai so betabana aata hai
bagule ki tarah kis kis KHushi se KHak uData hun
talash-e-ganj mein jo samne virana aata hai
samajhte hain mere dil ki wo kya na-faham o nadan hain
huzur-e-shama be-matlab nahin parwana aata hai
talab duniya ko kar ke zan-muridi ho nahin sakti
KHayal-e-abru-e-himmat-e-mardana aata hai
hamesha fikr se yan aashiqana sher Dhalte hain
zaban ko apni bas ek husn ka afsana aata hai
tamasha-gah-e-hasti mein adam ka dhyan hai kis ko
kise is anjuman mein yaad KHalwat-KHana aata hai
saba ki tarah har ek ghairat-e-gul se hain lag chalte
mohabbat hai sarisht apni hamein yarana aata hai
ziyarat hogi kaba ki yahi tabir hai is ki
kai shab se hamare KHwab mein but-KHana aata hai
KHayal aaya hai aaina ka munh us mein wo dekhenge
ab uljhe baal sukhane ki KHatir shana aata hai
phansa deta hai murgh-e-dil ko dam-e-zulf-e-pechan mein
tumhaare KHal-e-ruKH ko bhi fareb-e-dana aata hai
itab o lutf jo farmao har surat se raazi hain
shikayat se nahin waqif hamein shukrana aata hai
KHuda ka ghar hai but-KHana hamara dil nahin 'atish'
maqam-e-ashna hai yan nahin begana aata hai
Ghazal
Magar usko fareb-e-nargis-e-mastana aata hai
Haidar Ali Aatish