magar nahin tha faqat 'mir' KHwar main bhi tha
ki ahl-e-dard mein aashufta-kar main bhi tha
saba ki tarah use bhi na tha sabaat kahin
na jaane kya tha bahut be-qarar main bhi tha
panah leni paDi thi mujhe bhi sae mein
rahin-e-minnat-e-diwar-e-yar main bhi tha
hazar apni tabiat pe jabr karta tha
main sabr karta tha be-iKHtiyar main bhi tha
ye kis ne dekha ki mujh be-nawa ke daman mein
mohabbaten thin bahut saya-dar main bhi tha
Ghazal
Magar nahin tha faqat mir KHwar main bhi tha
Asif Jamal