magar in aankhon mein kis subh ke hawale the 
hamare nam ke sare huruf kale the 
ye KHak-o-baad ye zulmat-o-nur-o-bahr-o-bar 
kitab-e-jaan mein ye kis zat ke hawale the 
hai rang rang magar aaftab aaina 
jabin-e-shab pe to likkhe sawal kale the 
misal-e-barq giri ek aan tegh-e-hawa 
abhi darichon se logon ne sar nikale the 
yahan jo aaj shajar saya-dar hai 'muztar' 
yahin pe hum bhi kabhi barg-o-bar wale the
        Ghazal
Magar in aankhon mein kis subh ke hawale the
Farooq muztar

