madrasa ya dair tha ya kaba ya but-KHana tha
hum sabhi mehman the wan tu hi sahab-KHana tha
wae nadani ki waqt-e-marg ye sabit hua
KHwab tha jo kuchh ki dekha jo suna afsana tha
haif! kahte hain hua gulzar taraj-e-KHizan
aashna apna bhi wan ek sabza-e-begana tha
ho gaya mehman-sara-e-kasrat-e-mauhum aah
wo dil-e-KHali ki tera KHas KHalwat-KHana tha
bhul ja KHush rah abas we sabiaqe mat yaad kar
'dard'! ye mazkur kya hai aashna tha ya na tha
Ghazal
Madrasa ya dair tha ya kaba ya but-KHana tha
Khwaja Meer u0027Dardu0027