madhoshiyon se kaam liya hai kabhi kabhi
hath un ka hum ne tham liya hai kabhi kabhi
mai-kash bhula sakenge na saqi ka ye karam
girton ko us ne tham liya hai kabhi kabhi
saqi ne jo pilai hamari hi thi KHarid
hum se bhi us ne dam liya hai kabhi kabhi
kya baat hai ki tark-e-talluq ke bawajud
hum ne tumhaara nam liya hai kabhi kabhi
ai fart-e-shauq hum ne tasawwur ke faiz se
nazzara un ka aam liya hai kabhi kabhi
Thukraata kaise husn ki is pesh-kash ko main
majbur ho ke jam liya hai kabhi kabhi
dekha kabhi nahin unhen ai 'raaz' bazm mein
jalwa kanar-e-baam liya hai kabhi kabhi

Ghazal
Madhoshiyon se kaam liya hai kabhi kabhi
Raaz Layalpuri