madd-e-nazar nahin hai faqat mehrban ki KHair
shamil meri dua mein dil-e-dushmanan ki KHair
fursat mile to apni zamin ki KHabar bhi le
ai rabb-e-zul-jalal tere aasman ki KHair
josh-e-junun mein pesh-e-nazar maslahat bhi thi
sajde kiye hain mang ke us aastan ki KHair
har ins-o-jaan ne aankh kaDe waqt pher li
hum the ki mangte rahe har ins-o-jaan ki KHair
yaKH-bar sard-mehri-e-insan se kaenat
is arz-e-zamharir mein qalb-e-tapan ki KHair
insan ka hath un ki taraf bhi daraaz hai
pakizgi-e-husn-e-mah-o-kahkashan ki KHair
TuTa hai dil jarahat-e-chaara-garan ka shukr
TuTa hai jam niyyat-e-shisha-garan ki KHair
ye shaKH-e-sar-barahna ye jhakkaD ye raqs-e-barq
'manzur' KHair KHair tere aashiyan ki KHair
Ghazal
Madd-e-nazar nahin hai faqat mehrban ki KHair
Manzoor Ahmad Manzoor