اردو हिंदी
Madawa-e-junun sair-e-gulistan se nahin hota | Shaahi Shayari
madawa-e-junun sair-e-gulistan se nahin hota

Ghazal

Madawa-e-junun sair-e-gulistan se nahin hota

Ejaz Warsi

;

madawa-e-junun sair-e-gulistan se nahin hota
rafu-e-chaak-e-dil tar-e-gareban se nahin hota

ba-juz manzil kahin rahat nahin milti musafir ko
ilaj-e-abla-pai bayaban se nahin hota

hijab-e-dost ne baKHsha hai wo lutf-e-yaqin dil ko
ki ye aasuda ab husn-e-numayan se nahin hota

jila hoti hai zarf-e-zist par tanqid-e-dana se
mudawa nafs ka chashm-e-sana-KHwan se nahin hota

ba-qadr-e-zarf fitrat karti hai baalidgi dil ki
ye wo kar-e-aham hai jo dabistan se nahin hota

kiya hai ru-shanas-e-afw main ne teri rahmat ko
liya wo kaam isyan se jo iman se nahin hota

jigar ke dagh hi marqad mein kaam 'ejaz' aaenge
ujala aisi zulmat mein charaghan se nahin hota