madar-e-zat ke girdab se nikal aaun
main apni zat ke asbab se nikal aaun
bas ek bar to pani pe apna aks dikha
qasam-KHuda-ki main sailab se nikal aaun
jo mahw-e-raqs na hun meri ruh ke hamrah
main aise halqa-e-ahbab se nikal aaun
main apni jagti aankhon se zindagi dekhun
meri tamanna hai main KHwab se nikal aaun
tera to lahja bahut dil-shikan hai ai jaanan
teri kahani ke har bab se nikal aaun
jo tere lams ki hiddat ko jit lun to main
phir apni zat ke barfab se nikal aaun
gundha hua hai meri zat ke KHamir mein ye
main kaise aalam-e-asbab se nikal aaun
ye raushni meri tahzib ka hi hasil hai
main kaise halqa-e-adab se nikal aaun
jo mera pyar hai 'rumi' agar kabhi mil jae
main apni zat ke har KHwab se nikal aaun
Ghazal
Madar-e-zat ke girdab se nikal aaun
Rumana Rumi