machalti hai mere aaghosh mein KHushbu-e-yar ab tak
meri aankhon mein hai is sehr-e-rangin ka KHumar ab tak
koi aata nahin ab dil ki basti mein magar phir bhi
umidon ke charaghon se hain raushan rahguzar ab tak
abhi tak nisf shab ko chandni gati hai jharnon mein
nahin badli shabab-e-muntazir ki yaadgar ab tak
jala rakkhe hain shahrahon pe ashkon ke diye kab se
nahin guzra kabhi is samt se wo shahsawar ab tak
shikast-e-arzu ko ishq ka anjam kyun samjhun
muqabil hai mere aaina-e-lail-o-nihaar ab tak
Ghazal
Machalti hai mere aaghosh mein KHushbu-e-yar ab tak
Ahmad Nadeem Qasmi