machalte rahte hain bistar pe KHwab mere liye
utare jate hain shab bhar azab mere liye
main jab safar ke irade se ghar ko chhoDta hun
sulagta rahta hai ek aaftab mere liye
main tera qarz chukaunga wasl ki rut mein
tu apne ashkon ka rakhna hisab mere liye
rifaqaton ki shagufta bashaaraten teri
talluqat ke sare azab mere liye
phir us ke baad jo tu chahe zulm kar duniya
bas ek harf-e-dua mustajab mere liye
fughan ka shor muqaddar hai hijr ki shab mein
na koi naghma na chang o rabab mere liye
ye kis nigah ka ezaz hai koi batlae
kiye hain kis ne ye gham intiKHab mere liye
'nadim' rishton ki har aankh shab-zada hai yahan
har ek chehra hai jaise sarab mere liye
Ghazal
Machalte rahte hain bistar pe KHwab mere liye
Shahbaz Nadeem Ziai