macha hua hai KHudaon ki an-kahi ka shor
magar wo gunj ki kha jaegi sabhi ka shor
tamam raat mahakta tha us ki Table par
gulab-e-taza ki KHushbu mein february ka shor
shajar ki tab-e-samaat pe dad banti hai
ye sunta aaya hai sadiyon se aadmi ka shor
ai na-KHudao samundar ko mat suna dena
hamari naw mein asbab ki kami ka shor
baDe saliqe se aa kar qaza ne chaT liya
zamin ke sahn mein barpa tha zindagi ka shor
bas ek bar zamane ke dar pe dastak di
ab aise kaun machae ghaDi ghaDi ka shor

Ghazal
Macha hua hai KHudaon ki an-kahi ka shor
Nilofar Afzal