mazi! tujh se haal mera sharminda hai
mujh se achchha aaj mera karinda hai
kaisa insan taras raha hai jine ko
kaise sahil par ek machhli zinda hai
us ke pichhe us se baDh kar ek insan
aage aage ek KHun-KHwar darinda hai
jaise koi kaT raha hai jal mera
jaise uDne wala koi parinda hai
nau-e-bashar ka wahshi-pan jab yaad karo
ye mat bhulo jangal ka bashinda hai
bujhte bujhte de jata hai koi shah
KHakistar se chingari sharminda hai
tumhein agar aasar dikhai dete hon
dekho kya hone wala aainda hai
Ghazal
Mazi! tujhse haal mera sharminda hai
Ghulam Murtaza Rahi