mayusi ki kaifiyyat jab dil par tari ho jati hai
rafta rafta din-o-duniya se be-zari ho jati hai
awwal awwal KHush aata hai pariyon ke KHwabon mein rahna
baad mein lekin ye haalat zehni bimari ho jati hai
aql pe parda paD jata hai duniya hum se kho jati hai
jab koi shaKHsiyyat hum ko had se pyari ho jati hai
rizq muqaddar mein likha hai phir ye karobar-e-jahan kya
ek ek dana kamane mein kis darja KHwari ho jati hai
baz maqam aise hote hain jin se aage baDh jaen to
un tak wapas aane mein behad dushwari ho jati hai
hum to sheari canwas par bas dil ka haal raqam karte hain
sachche jazbon se is par KHud naqsh-nigari ho jati hai
aksar mujh se mahinon 'kashif' koi sher nahin ho pata
taza zaKHm magar lagte hi taza-kari ho jati hai
Ghazal
Mayusi ki kaifiyyat jab dil par tari ho jati hai
Kashif Rafiq