اردو हिंदी
Mayusi ki barf paDi thi lekin mausam sard na tha | Shaahi Shayari
mayusi ki barf paDi thi lekin mausam sard na tha

Ghazal

Mayusi ki barf paDi thi lekin mausam sard na tha

Qaisar-ul-Jafri

;

mayusi ki barf paDi thi lekin mausam sard na tha
aaj se pahle dil mein yaro! itna ThanDa dard na tha

tanhai ki bojhal raaten pahle bhi to barsi thin
zaKHm nahin the itne qatil gham itna be-dard na tha

phirte hain ab ruswa hote kal tak ye raftar na thi
shahr mein thin sau ku-e-malamat dil aawara-gard na tha

marne par bhi lau deti thi diwane ke dil ki aag
pathrai thin aankhen lekin phul sa chehra zard na tha

harf-e-tasalli mauj-e-hawa the mauj-e-hawa se hota kya
sine ka patthar tha 'qaisar', gham daman ki gard na tha