اردو हिंदी
Mawara-e-jahan se aae hain | Shaahi Shayari
mawara-e-jahan se aae hain

Ghazal

Mawara-e-jahan se aae hain

Habib Jalib

;

mawara-e-jahan se aae hain
aaj hum KHumsitan se aae hain

is qadar be-ruKHi se baat na kar
dekh to hum kahan se aae hain

hum se puchho chaman pe kya guzri
hum guzar kar KHizan se aae hain

raste kho gae ziyaon mein
ye sitare kahan se aae hain

is qadar to bura nahin 'jalib'
mil ke hum us jawan se aae hain