matam bahut raha mujhe ashk-e-chakida ka
aaKHir ko pas aa hi gaya nur dida ka
nam-firaq phir na liya main ne umr-bhar
tha zaiqa zaban pe azab-e-chashida ka
ab wo maza nahin lab-e-shirin ke qand mein
chusa hua hai ye kisi KHidmat-rasida ka
ai charKH-e-pir-zor jawani se dar-guzar
ab pas chahiye tujhe pusht-e-KHamida ka
abru mein KHam jabin mein shikan aankh mein ghazab
kya muddaa hai qatil-e-KHanjar-kashida ka
daulat gharaz na thi jo dua se hui husul
tha aur muddaa mere dast-e-kashida ka
ai sakinan-e-charKH-e-mualla bacho bacho
tufan hua buland mere aab-dida ka
wo na-tawaniyan hain ki jism-e-zaif par
jama hai ankabut ke dam-e-tanida ka
be-did did mein nahin aate kisi tarah
gham aashiyan hai tair-e-rang-parida ka
uDte hain hosh koi bhala kis tarah sune
afsana tere wahshi-e-az-KHud-ramida ka
o gul KHayal hai araq-e-jism ka tere
shisha hai dil hamara gulab-e-chakida ka
yaad-e-nigah-e-mast se hai dil ko intishaar
paimana hai KHarab sharab-e-chakida ka
qatil KHuda se Dar hawas-e-zabh ta-kuja
nala na sun kisi ke gulu-e-burida ka
masti ke walwalon ka jawani mein lutf hai
piri mein dhyan chahiye qadd-KHamida ka
jalwe dikha raha hai ye farsh-e-zamurradin
sabza mazar par hai giyah-e-damida ka
chaDhti hai roz chadar-e-gul jalte hain charagh
ye Dher hai zarur kisi barguzida ka
baalon ko ai 'nasim' rangoge KHizab se
sak ko asa banaoge pusht-e-KHamida ka
Ghazal
Matam bahut raha mujhe ashk-e-chakida ka
Naseem Dehlvi