اردو
Mashuq jo Thigna hai to aashiq bhi hai naTa | Shaahi Shayari
mashuq jo Thigna hai to aashiq bhi hai naTa

Ghazal

Mashuq jo Thigna hai to aashiq bhi hai naTa

Zia-ul-Haq Qasmi

;

mashuq jo Thigna hai to aashiq bhi hai naTa
us ka koi nuqsan na is ko koi ghaTa

teri to nawazish hai ki tu aa gaya lekin
ai dost mere ghar mein na chawal hai na aaTa

laDDan to honeymoon manane gae london
chal hum bhi clifton pe karen sair-sapaTa

tum ne to kaha tha ki chalo Dub maren hum
ab sahil-e-dariya pe khaDe karte ho Ta-Ta

ushshaq rah-e-ishq mein mohtat rahenge
sikha hai hasinon ne bhi ab judo-karaTa

kala na sahi lal sahi til to bana hai
achchha hua machchhar ne tere gal pe kaTa

is zor se chheDa to nahin tha use main ne
jis zor se zalim ne jamaya hai chamaTa

jab us ne bulaya to 'ziya' chal diye ghar se
bistar ko rakha sar pe lapeTa na lapaTa