marke mein ishq ke sar se guzarne se na Dar
gar uThata hai to ye jokhon to marne se na Dar
jaan-e-man tera gareban-gir ho sakta hai kaun
aashiqon ke KHun mein tu daman ke bharne se na Dar
zahida tu sohbat-e-rindan mein aaya hai to sun
tark gali ka na kar pagDi utarne se na Dar
gar subuk-bari ki KHwahish hai to us qatil se phir
zindagi ek bojh hai sar ka utarne se na Dar
us ke har halqe mein hain dil se pareshanon ke sath
ye na kah hamdam ki zulf us ki bikharne se na Dar
us ke kuche mein qadam rakhte hue kaTta hai sar
sar ko rakh le hath par aur panw dharne se na Dar
dil diya tu ne 'muhib' ab KHauf hai kis chiz ka
do-do baaten zehn se jis waqt karne se na Dar

Ghazal
Marke mein ishq ke sar se guzarne se na Dar
Waliullah Muhib