marka hi marka chaaron taraf
ek hujum-e-karbala chaaron taraf
toD de is daere ko toD de
rasta hai rasta chaaron taraf
mujh ko kaisi KHamushi darkar thi
aur kaisa shor tha chaaron taraf
waqt wo jab mere andar mein na tha
kaun tha mere siwa chaaron taraf
umar bhar makkar aaankhon ne mujhe
wo dikhaya jo na tha chaaron taraf
achchhe achchhe jis ki rau mein bah gae
us ne bandhi wo hawa chaaron taraf
hae ye hum shairon ki hae hae
aur mukarrar wah-wa chaaron taraf

Ghazal
Marka hi marka chaaron taraf
Nadeem Fazli