mare ghusse ke ghazab ki tab ruKHsaron mein hai
kal to thi phulon mein ginti aaj angaron mein hai
tab ki sozish se mere chehre ki surKHi dekhna
kuchh tumhein KHush-ru nahin ye phir tarah-daron mein hai
ruh tere ghar ko chhoDe ye kabhi mumkin nahin
jism mera KHak ho kar us ki diwaron mein hai
itni zardi sari duniya ki KHizan mein bhi na ho
jitni aur zalim teri ulfat ke bimaron mein hai
ya ghaTe kuchh ishq mera ya baDhe duniya mein husn
ye to na-kafi hai jitna un dil-azaron mein hai
aaine mein Dalta hai ruKH pe meri si nigah
tu bhi mere sath ulfat ke gunahgaron mein hai
qudrat itne naz paida kar sakegi ya nahin
un ka jitna sarf tere naz-bardaron mein hai
masala kasrat mein wahdat ka hua hal tum se KHub
ek hi jhuT aur tumhaare lakh iqraron mein hai
qaid mein kitni baDhi mere junun ki kahili
us se kam hai jitni duniya bhar ke be-karon mein hai
chand hi kah de jo dekha ho kahin tujh sa hasin
us ne bhi dekhi hai duniya ye bhi sayyaron mein hai
kufr ne islam ko shayad kahin mara ki 'shauq'
matami poshak se kaba azadaron mein hai
Ghazal
Mare ghusse ke ghazab ki tab ruKHsaron mein hai
shauq Qidvai