mara hamein is daur ki aasan-talbi ne
kuchh aur the is daur mein jine ke qarine
har jam lahu-rang tha dekha ye sabhi ne
kyun shisha-e-dil chur tha puchha na kisi ne
ab halqa-e-girdab hi aaghosh-e-sukun hai
sahil se bahut dur Duboe hain safine
har lamha-e-KHamosh tha ek daur-e-pur-ashob
guzre hain isi taur se sal aur mahine
mazi ke mazaron ki taraf soch ke baDhna
ho jaoge mayus na kho do ye dafine
har bazm-e-suKHan jhuTe naginon ki numaish
sartaj-e-suKHan the jo kahan hain wo nagine
Ghazal
Mara hamein is daur ki aasan-talbi ne
Zahida Zaidi