mar Dalegi hamein ye KHush-bayani aap ki
maut ka paigham aaega zabani aap ki
zindagi kahte hain kis ko maut kis ka nam hai
mehrbani aap ki na-mehrbani aap ki
baad-e-murdan khinch laya jazb-e-dil sine pe hath
ek anguThi mein jo pahne tha nishani aap ki
baDh chuka qad bhi farogh-e-husn ki had ho chuki
ab to qabil dekhne ke hai jawani aap ki
aap se mil ke gale rahat se aa jati hai nind
sabza-e-KHwabida hai poshak dhani aap ki
rang aalam ka badalna aap ke sadqe mein hai
jama kar rakkhi thin poshaken purani aap ki
aankhon par bandhwai paTTi ta na dekhun aur ko
mar gaya main par wahi hai bad-gumani aap ki
jab wo mujh ko dekhta hai hans ke kahta hai 'rashid'
kitni paband-e-wafa hai zindagani aap ki
Ghazal
Mar Dalegi hamein ye KHush-bayani aap ki
Rasheed lakhnavi

