manus ho chuke hain tere aastan se hum
ab zindagi badal ke uThenge yahan se hum
tanhaiyan dilon ki bhala kis tarah miTen
kuchh ajnabi se aap hain kuchh bad-guman se hum
ab aalam-e-sukut hi rudad-e-ishq hai
kuchh arz-e-haal kar nahin sakte zaban se hum
hai raaz-e-bahar-e-ishq ajab hairat-afrin
ye dekhna hai Dub ke ubhren kahan se hum
barbaad bar bar nasheman hua magar
ghafil hain aaj tak nigah-e-baghban se hum
milta kisi nazar ka sahaara agar hamein
thakte na yun hayat ke bar-e-giran se hum
hasil hua wo lutf asiri mein ai 'nasim'
ta umr be-niyaz rahe aashiyan se hum
Ghazal
Manus ho chuke hain tere aastan se hum
Naseem Shahjahanpuri